Pages

Wednesday, March 30, 2011

AE ZINDAGI TUNE HAMARA KYA YE HAAL KAR DIYA...

Aansu bhi na baha sake, hasna bhi muhaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.

Dard ke mausam ko maanind maah-o-saal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.

Parchaai bhi meri, mujhse hui ajnabi, aisa kya kamaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.

Hasti-o-wajood ko mere, jaise khwaab-o-khayaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kyun ye haal kar diya.

Tark-e-shauk-e-safar kar, aur bhi mujhe nidhaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.

Mil bhi na paaye the puraaane kai jawaab abhi,
Saamne phir khada, ek naya sawaal kar diya.

Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya
Ae zindagi tune hamara kyun ye haal kar diya !!

Monday, March 28, 2011

ZINDAGI ME MOHABBAT...

Zindagi me mohabbat, mohabbat me zindagi
Kuch is tarah humne bita di ye zindagi.

Log mohabbat ko khel kehte hain
Aur is khel hi khel me humne ganwa di ye zindagi.

Saahil ki reth pe likhne chale jo daastaan-e-ziist
Saahil pe aayi har mauz ne mita di ye zindagi.

Gam ye nahi ki uski yaad me bhula diya khud ko
Gam ye hai ki jaane kyun humne bhula di ye zindagi.

Meri chaukhat pe jalte the kuch diye
Ek hawa ke jhonke ne buzha di ye zindagi.

Zindagi me  mohabbat, mohabbat me zindagi
Taa-umr yun hi  humne bita di ye zindagi.


KHALISH DIL KI...

Ajeeb sehar hai, umiido.n me guzar jaati hai
Jaane kyun, dua hamari, humein beasar nazar aati hai
Kya kahein sitam, is sang dil khudaai ka
Khalish dil ki, aankho se nikal jaati hai.



Ajeeb shaam hai, aarzuo.n me guzar jaati hai
Dil ko aksar, yaad unki, reh-reh kar sataati hai
Kya kahein mausam, is gam-e-judaai ka
Khalish dil ki, aankho se nikal jaati hai.



Ajeeb raat hai, aansuo.n me guzar jaati hai
Neend hamari, humein chod kar jaane kidhar jaati hai
Kya kahein aalam, is dasht-e-tanhaai ka
Khalish dil ki, aankho se nikal jaati hai.

KAB SE SAMHAAL RAKHA HAI...

Kab se samhaal rakha hai ek aansu gam-e-judaai ka
Kar deta jo haal-e-bayaan pal me meri tanhaai ka.

Sun rakha tha waaizon se, waqt hota hai marham
Kyun nahi bharta phir ye zakhm mail jo bewafaai ka.

Anjuman me yun to hum bhi ched dete zikr-e-ulfat
Tham jaate lab, jab sochte aalam teri ruswaai ka.

Roka tha ahbaabo ne humko raah-e-fanaa apnaa ne se
Aaj hasta hai har rahi, dekh kar, manzar meri tabhaai ka.

Mohabbat me faqat ye hi khata hui ya rab
Maan liya us patthar ko hissa teri is khudaai ka.

Kab se samhaal rakha hai ek aansu gam-e-judaai ka
Wo bhi na ban saka habeeb meri tanhaa si is tanhaai ka.