Pages

Monday, March 28, 2011

KAB SE SAMHAAL RAKHA HAI...

Kab se samhaal rakha hai ek aansu gam-e-judaai ka
Kar deta jo haal-e-bayaan pal me meri tanhaai ka.

Sun rakha tha waaizon se, waqt hota hai marham
Kyun nahi bharta phir ye zakhm mail jo bewafaai ka.

Anjuman me yun to hum bhi ched dete zikr-e-ulfat
Tham jaate lab, jab sochte aalam teri ruswaai ka.

Roka tha ahbaabo ne humko raah-e-fanaa apnaa ne se
Aaj hasta hai har rahi, dekh kar, manzar meri tabhaai ka.

Mohabbat me faqat ye hi khata hui ya rab
Maan liya us patthar ko hissa teri is khudaai ka.

Kab se samhaal rakha hai ek aansu gam-e-judaai ka
Wo bhi na ban saka habeeb meri tanhaa si is tanhaai ka.


2 comments:

  1. Shalu, yaar awesome is the word!! Kaise likh leti ho itna emotional !!

    ReplyDelete
  2. Thanxxx shruti..bt likhna ab guzre zamane ki baat ho gayi..emotions hi nahi bache hn ab.. :(

    ReplyDelete