Aansu bhi na baha sake, hasna bhi muhaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.
Dard ke mausam ko maanind maah-o-saal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.
Parchaai bhi meri, mujhse hui ajnabi, aisa kya kamaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.
Hasti-o-wajood ko mere, jaise khwaab-o-khayaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kyun ye haal kar diya.
Tark-e-shauk-e-safar kar, aur bhi mujhe nidhaal kar diya
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya.
Mil bhi na paaye the puraaane kai jawaab abhi,
Saamne phir khada, ek naya sawaal kar diya.
Ae zindagi tune hamara kya ye haal kar diya
Ae zindagi tune hamara kyun ye haal kar diya !!
No comments:
Post a Comment