> Khwahishein kuch adhoori reh gayin to kya,
Zindagi aaj bhi meri poore shabaab par hai!!
> Maanind lau ke wajood ki thi jadd-o-jehad,
Aandhiyaan zamaane ki kuch yun chal padi thi!!
> Dekha toh, saath chalta carvaan nazar aaya.
Socha toh, har raahguzar khud ko tanhaa paaya.
> Aarzu hai agar maut ki, toh jeena seekh le
Ki zindagi se badhkar koi maut nahin!!
> Ibtidaa-e-raah hai toh dard hain hazaar,
Darte hain ae zindagi tera anjaam kya hoga!!
> Mohabbat me ye daad-o-satad kahan se seekha hai,
Ki tum toh kabhi ishq ke kharid_daar na the!!
> Mujhe ilzaam na dena , doob jaun teri aankho me gar,
Ki teri nazaro se zarf koi dariya bhi toh nahi!!
> Apni chahton ki taah par hum hokar bade begard nikle,
Hum ko dard dene waale kisi aur ke humdard nikle!!
> Kya khata humne kar di, dil ka kahaa maan kar,
Ki logon ne yahan badnaam kar ke rakh diya!!