Monday, May 2, 2011

Shab-e-vasl Ki Minnatein Hazaar Karte Rahe...

Shab-e-vasl ki minnatein hazaar karte rahe,
Tuzhe dekhne ki chah me, chaand ka deedar karte rahe.

Na tu aaya kabhi, na tere aane ki  khabar
Bas palkein bichaaye hum intezaar karte rahe.

Mashriq-o-maghrib fire teri justjoo me hum
Teri khwhaish me charo pahar asfaar karte rahe.

Tune chah kar bhi na ki meri chahat ki kadr
Aur hum yun hi apni chahat par gumaan karte rahe.

Meri maut par hi kar dete zhoota iqraar-e-mohabbat
Jeete ji to hum hi sachcha izhaar karte rahe.

Ab kyun karte ho apne aansu meri kabr pe zaya tum
Zindagi bhar to meri zindagi abtaar karte rahe.

Dawaa Ab Na Dijiye Ki Dard Behissab Hai...

Dawaa ab na dijiye ki dard behissab hai
Dua bhi apno ki lagti jaise koi azaab hai.

Yun na humko dekhiiye ki chehra ek kitaab hai
Nazrein bol padengi, faqat ashkon ka naqaab hai.

Is dil me na jagaiye zhoothe ab armaan koi
Ki toot jana hai ek din jo bhi haseen khwaab hai.

Khudaara na rakhiye humse yun to ummed-e-vafaa
Parayi aag me khud ko jalana, ye kahan ka sawaab hai.

Humse ab na puchiye sawaal aur nayaa koi
Ki zindagi ke har sawaal ka ek qazaa jawaab hai .

Dawaa ab na dijiye ki dard behissab hai
Dua bhi na kijiye ki ye marz lailaaz hai.